Friday 23 September 2016

Youtube Videos Par Views badane ki top 5 Amezing tips




youtube
par aap video banane ke bad jab upload kar dete hai to sabse badi samshya hamare new youtuber ki hoti hai ki ,
hamare views bahut hi kam aate hai ,
to aaj ki is post m,e ham yhi bat karenge ki youtube par hamare videos ke viewer ke badaye..

dosto ham blog se earning karte hai ,
or dosto me aapko batadu , blog ke bad jo google ka hi youtube hai wo earning karne ka sabse bada platform hai,.;

youtube traffic hindi4net


bahut se youtube bar youtube channel bana kar lakho rupey monthly kama rhe hai

aap mera youtube channel bhi dekh sakte ho  yaha click karke mera youtube channel dekhe

aapko pasand aaye video to aap subscribe jarur kare.

chalo ham bat kar rahe hai ki youtube par hamari videos par viewer kese badaye.

Tips 1 . title

dosto jese hamari website ya blog par contant hota hai ayse hi hamare youtube videos me contant hona chahiye.
ha dosto sabse jaruri hai hamare video me jo contant hai usse relative title dale jo ki padte hi hamare viewer ko samjh me aa jaye
for example - hamara videos hai youtube par viewr badane ke upar
uska title hona chahiye
how to increase youtube viewer top 10 amezing tips and tricks
ya phir hindi me title dena ho to
youtube videos par viewr badane ki top 10 ya 15 amezing ya papuler tips

and most importent agar aapka video hindi me hai to aap title ke last me hindi jarur likhe

sath hi sath sabse jaruri hai apne videos ke liye custom thumbnail hona chahiye jisse jo bhi dekhe dekhete hi samjh jayega or video dekhne ke liye khud ko rok nahi payega chalo iske bare me niche jante hai .


Tips 2.  thumbnail

ji   ha sabse jaruri hota hai Thumbnail .
Thumbnail ek tarah ki photo ka kam karti hai. jese ham blog ya website par post karte hai to uski post me usse realeted pic edit karte hai or usme post ke bare me batate hai or use blog ki post me sabse upar post karte hai .
dosto me aapko batadu blog ho ya youtube ya facebook twotter kahi par bhi aap ek photo edit karke dal do ya ,
2000 word ki post kardo ek hi bat rahti hai .
kahne ka matlab hai 1 photo puri ki puri 2000 word ki post ka kam karti hai..

to dosto me aapko personaly kahta hu aap jab bhi youtube par video upload karo sabse most Thumbnail jarur dale ..

me ye is liye kah raha hu bcoz dosto mene bahut se channel ko dekha hai wo Thumbnail nahi dalte hai , or dosto unka pura traffic unki title par hi aata hai jo ki thumbnail na hone ki wajah se kam hota hi hota hai..

to dosto aap thumbnail jarur dale ..


read more -


tips 3. blog

dosto aap jo bhi youtube ka channel bana rahe ho uska usi nam se blog bhi create kar le. 
aap sabse pehle free blogspot se free me blog bana le or jese jese aapka youtube papuler ho jaye aap usse daily 1000 to 2000 rupey kamane lag jao to us free blog ka domain bhi kharid le

aap yaha click karke sikh le kese free blog banate hai


dosto me blog banane ka is liye kah raha hu kyuki blog hamare youtube ke liye sabse most important to nahi hai but ha isse hamare daily ke visitor ager 100 aayenge yoputube ke dwara to ye mano aapke vistor 100 guna bad jayenge daily 100- 10000 tak aapke blog ki wajah se aapke youtube par aaynge ye me aapko apna personal bata raha hu ..
bcoz mene bahut traffic mere blog se hi paya hai.



 tips 4. youtube parfect tag

ha dosto sabse jaruri ho jata hai tag dosto jab tak ham sahi tag nahi dalenge aap kabhi bhi aapke youtube viewer ko nahi bada sakte ho .
dosto tag hi hamare video ko search me lata hai,
jese hamne facebook se related kuch video banaya or usme tag hi nahi dala to youtube hamare video ko kese search karega..
tag se mera matlab hai bilkul sahi jo us video ke contant me fit bethe wahi tag dale ..
yad rakhe dosto wahi tag dale jo aapke video ke contant me ho .
bahut se log kya karte hai search me apne video ko lane ke liye jo contant hai wo tag to dalte hai sath hi sath jo video ke contant me nahi hai wo tag bhi dal dete hai .
jisse unka account block ho jata hai..

dosto wqahi tag dale jo aapke contant me ho aysa kabhi na kare ki aapka contant to facebook kahai 
or aap post tag me whatsapp , or twitter bhi dal rahe hai ,

example- hamne video banayi hai facebook me kisi ko block kese karter hai hindi

ab isme tag dalna hai - facebook, facebok block, block facebook unknown person, facebook friends block, facebook block list, facebook friends , facebook block hindi,

to dosto aap samjh gaye honge ki kese sahi tag dalna hai 

tag dalne se dosto jo hamare video me hai wo search me aajata hai..


tips 4. Description 

dosto description me video ki sari informetion de de 
jo ki bahut jaruri hai .
bcoz jaha tak mene dekha hai bahut sare log kya karte hai video ke Thumbnail or title se hi samjh jate hai ki , video ke ander kya hai .
ab koi video kisi software ke bare me hoga to . koi bhi title ya thumbnail se samjh gya to kya karega us video ko dekhne se pehle descriptin dekhega bcoz usko pata hoga software ka link discription me hi milega to wo description padega .
ab dosto discription me aap video se judi jankari de or apni website facebook page, twitter , google plus, sabhi account se judne ka link bhi de

discription me sabhi jankari achhe se likhe tabhi aapka aapke viewer par achha impretion pade .

Tips 5 . social media networking


ha dosto aap aaj ke dor me jitna social site par aapke blog ho ya youtube video sabhi ko jitna jada sare karoge social media jese facebook, twitter, google plus, or bhi bahut sare social media site hai sabhi par aapke video ko share karna kabhi na bhule,
ye aapko bahut jaldi top par pahucha dega ,

aap apne youtube ke nam se ek facebook page banaye ,ek twitter account banaye , or google plus par bhi page banaye .
or dosto aapko me bata raha hu aap daily hajaro viewr extra social media se paoge 
social media aaj ke samay me sabse bada jariya hai traffic ka ..

sath hi sath aapna network banaye 
whatsapp par group me join ho jaye or apna khud ka group banaye 

facebook par group banaye ..

to dosto ye bahut jaruri tips hai hamare youtube video ke viewer badane ki 
iske bina aap kabhi bhi aapke youtube ke viewer ko nahi bada paoge 
matlab aap jo mehnat 1 year tak karke youtube ke viewer paoge wo in 5 aasan tips ko follow karke 1 month me itne viewr aapke video par paoge..


3 comments:

  1. bahut badiya thanks me thumbnail nahi use karta tha
    ab use karunga

    ReplyDelete
  2. ha thumbnail jarur use karo usse aapke viewer ko samjhne me bahut aasani hogi

    ReplyDelete
  3. Nice article

    Now you can use this 👇
    Free YouTube premium tool
    And increase your YouTube views and subscribers

    ReplyDelete

Popular Posts

Recent Posts

Popular Posts